Saturday, September 15, 2007
`Roza Iftar party'
A lot has been written about politically motivated Iftar parties. I, too, don't like such parties. However, I was terribly impressed by an Iftar party that was held in a temple in "Ayodhya" by the seers of that temple to offer Iftar to Muslim brethren . I had composed this poem a few years earlier but like to repeat it every year in the holy month of Ramadan. Your views on the poem are most welcome. Jawaid Badauni
NAZM:
"Mulla" ne roza khola hai "Sadhu" ke haath se"
Yaro! Ayodhia me(n) na thi kal jo dastyaab
Lo aaj baT rahee hai wohee pyaar ki sharaab
Hoti hai gul.sitaa(n) me(n) mahak jin ki lajawaab
Mandir me(n) khil rahe hai(n) mohabbat ke woh gulab
Ghar per pujariyon ke hai ifatr-e ahl-e som
Hai mezbaa(n) azaa(n) ki sadaa ki, sadaa-e Om
Daavat yeh rozedaaro(n) ki mandir ki yeh zameen
Hai(n) mezbaan "Sant" to mehmaN haiN ahl.e deen
Mandir me(n) aaye ahl-e haram banke hazreen
Sakte me(n) aa gaye hai(n) zamaane ke nazereen
Hairat sabhi ko hoti hai Hairat ki baat se
"Mulla" ne roza khola hai "Sadhu" ke haath se
Duniya me(n) bus wafaa hi mohabbat ka hai badal
Taqdeer ne dikhaya hame(n) aaj yeh mahal
Tareekhh se kaho keh bhula de na iss ko kal
"Sadhu" pila raha hai "Namazi" ko "Ganagajal"
Iftariyo(n) ko dekh ke har shakhs dung hai
Phal aur mithaiyo(n) me(n) mohabbat ka rung hai
Kyoo(n) khoosh "Wafa" na ho keh masarrat ki hai yeh baat
Mandir me(n)jake dee hai "Siyasat" ko uss ne maat
LaRhte the kal jo aaj woh baithe(n) hai(n) sath saath
Ahle haram ke sar pe "Pujari" ne rakhkha haath ?
Kuchh ke khooshi me(n) aankh se aansu nikal gaye
Aise bhi kuchh the jinke kaleje hi jal gaye
Ab woh kareNge kaise ta.assub ka aHtmaam
Jab ek ho rahe hai(n) mohibbe Raheem.O.Ram
Aazaad ho rahe hai(n) jo nafrat ke the ghulaam
Kaise laRhaane walo(n) ka baaqi rahega naam
Mana ke aaj ahl-e wafa shaad ho gaye
"Jawaid" hosh ahl-e siyasat ke kho gaye
Difficult words:
dastyaad: available
ahl.e som: those who observe fast
ahle haram: Muslims, those who belong to K'aba Shareef
hazreen: visitors
nazreen: viewers
mahal: mauqa
iftaariyaN: Fruits and other eatables taken to break the fast
taAssub: communal feelings
ahl.e siyasat: politicians
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment